Jhatak kar zulf jab tum tauliye se baarishein azaad karti ho
achcha lagta hai
Hila kar honth jab bhi haule haule guftagu ko saaz karti ho
achcha lagta hai
Khushboo se behlao na, seedhe point pe aao na
Aankh mein aankhein daal ke keh do, khwaabon mein tehlao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe aao na, seedhe point pe aao na
Alag ehsaas hota hai, tumhare paas hone ka
Sarakti sarsarahat ki nadi mein reshmi lamhe bhigone ka
zara sa mod kar gardan jab apni hi adaa par naaz karti ko
achcha lagta hai
lafzon se behlao na, Jhoothi-mooti behkao na
Haathon ko haathon mein le ke woh teen shabd tapkao na
Zara short mein, batlao na
Seedhe point pe aao na, haan seedhe point pe aao na
Woh tere dhyaan ki khushboo, main sar tak odh leta hoon
Bhatakti saans ko teri gali mein gungunaane chhod deta hoon
tum apni khidkiyon ko khol kar jab bhi naye aaghaaz karti ho
achcha lagta hai
gali gali gali gali gali gali bhatkao na, ghadi ghadi uljhao na
Senti ho main jaan gayi hoon action bhi dikhlao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe aao na, ho seedhe point pe aao na
Ho seedhe ho seedhe, ho seedhe point pe aao na
No comments:
Post a Comment